Topics: Education (244) Maths (238) English (287) Science (74) Lyrics (870) Videos (850) Bollywood (32) Tollywood (71) Michael Jackson (154) IIT JEE (41)

Jhootha Hi Sahi

Hello Hello - Jhootha Hi Sahi

Hindi / Bollywood Movie Song Lyrics


Song Name: Hello Hello
Film/Album: Jhootha Hi Sahi
Singer(s): Karthik
Music Director: A R Rahman
Lyricist: Abbas Tyrewala
Length: 3:32
Music Label: Saregama-HMV

hello hello... hello hello...
is andheri kaali raat mein koi
sune to sunaey haal-e-dil pe haal-e-zindagi
hello hello... hello hello...
koi jawaab do na
jeene ko khuwaab do na
ek dost ka hai chehra
ya phir naqaab do na
hello hello... hello hello...


telephone ki is dor se bandhi meri zindagi
koi khol do, bas torr do, mein choot jaaoun abhi
mujhe chorr do, mujhe thaam lo
kho jaane do, mera naam lo
sab theek hai, hojaeyga
is jhoot se ab kaam lo
hello hello... hello hello...

is andheri kaali raat mein koi
sune to sunaey haal-e-dil pe haal-e-zindagi
hello hello...


kaante ghari ke chubh rahe, aur dil hai yeh andhera
is se bachain to phir dikhe shaayad naya sawera
mujh se zara baatain karo
halke zara raatain karo
sooraj ki pehli kirnon se
meri zindagi ko bharo
hello hello... hello hello...

koi jawaab do na
jeene ko khuwaab do na
ek dost ka hai chehra
ya phir naqaab do na
hello hello... hello hello...

Jhootha Hi Sahi

Maiyya Yashoda (Jamuna Mix) - Jhootha Hi Sahi

Hindi / Bollywood Movie Song Lyrics


Song Name: Maiyya Yashoda (Jamuna Mix)
Film/Album: Jhootha Hi Sahi
Singer(s): Javed Ali - Chinmayi
Music Director: A R Rahman
Lyricist: Abbas Tyrewala
Length: 5:12
Music Label: Saregama-HMV

nat-khat nat-khat jab naktak par kuch to churaey haey maiyya
dil churaey, neend churaey, chain churaey haey maiyya
kese main jaaoun ghar apne, sab laaj sharam main chori re
kese kahun kis nat-khat ne kiya maakkhan chori re

maiyya yashoda mori gagri se jab laa ke dil pe
makkhan haan koi di maakkhan chura le gaya
maiyya yashoda kese jaaoun ghar jab laa ke dil pe
maakkhan haan koi di maakkhan chura le gaya

mori baanh hai monhri (nat-khat re)
tere dil ko jori (nat-khat re)
more gagre koti (nat-khat re)
main moonch si choti (nat-khat re)
mori thaame kalaai uss kinaare le gaya

maiyya yashoda sach kehta hun main jab naake kul par
maakhan ki gagri se maakhan bacha le gaya
maiyya yashoda mori gagri se jab laa ke dil pe
maakkhan haan koi di maakkhan chura le gaya


suna tha ek din main ne jab naatak par chalte chalte
kisi gopi ko bethe akele rote naina dhalte dhalte
chalo phir jaa bethain us jamna ke pull par
maakkhan ham mil ke re maakkhan chata hogaya
maiyya yashoda mori gagri se jab laa ke dil pe
maakkhan haan koi di maakkhan chura le gaya


maahi mohe laaj aave kaahe main ro ro karti thi
tu hi maakkhan choori, main beth ke bas aahain bharti thi
phir tere nat-khat ne ek din mohe yeh raaz bataya (2)
chori hota tha maakkhan kiyun ke choron se darti thi
jo makkhan jam ke khaey, to kya koi churaey
to chakh le aur chakha le thora maaii
O maaii tore nat-khat ko main ne hi jab laa ke dil pe
maakkhan khilaaya to maakkhan mera hogaya

maiyya yashoda sach kehta hun main jab naake kul par
maakhan haan kori... maiyya yashoda...
O maiyya yashoda mere maiyya yashoda
maiyya yashoda sach kehta hun main jab naake kul par
maakkhan ki gagri se maakkhan bacha le gaya

kese main jaaoun ghar apne, sab laaj sharam main chori re
kese kahun kis nat-khat ne kiya maakkhan chori re
maiyya yashoda... O maiyya yashoda...
O maiyya yashoda more maiyya yashoda
maiyya yashoda more


nat-khat nat-khat jab naktak par kuch to churaey haey maiyya
dil churaey, neend churaey, chain churaey haey maiyya
kese main jaaoun ghar apne, sab laaj sharam main chori re
kese kahun kis nat-khat ne kiya maakkhan chori re

Jhootha Hi Sahi

Cry Cry - Jhootha Hi Sahi

Hindi / Bollywood Movie Song Lyrics


Song Name: Cry Cry
Film/Album: Jhootha Hi Sahi
Singer(s): Rashid Ali, Shreya Ghoshal
Music Director: A R Rahman
Lyricist: Abbas Tyrewala
Length: 04:27
Music Label: Saregama-HMV

rote kaahe ko hum hain, rote kaahe ko hum?
hona hai jo ho, sad hote kaahe ko hum?

cry cry itna cry karte hain kaahe ko?
itna darte hain kaahe ko?
pal pal marte kaahe ko?
why why aisa why wesa kiyun hota?
yun hota to kya hota?
jo hota hai woh hota
fly fly baby fly, dekhain yaan urr ke
dekhain baadal se jurr ke
dekhain phir na murr murr ke
rote kaahe ko hum hain, rote kaahe ko hum?
hona hai jo ho, sad hote kaahe ko hum?
haan raaton ko na sote kaahe ko?

cry cry itna cry karte hain kaahe ko?
itna darte hain kaahe ko?
pal pal marte kaahe ko?


chaar pal ka hai saanson ka qissa
kitna hai hissa is mein aansuon ka, soch lo tum
bachpan bhi tha aik, ek boorha sa pal
kis ne dekha kal, to is pal ki qeemat jorr lo tum

rote kaahe ko hum hain, rote kaahe ko hum?
hona hai jo ho, sad hote kaahe ko hum?
haan raaton ko na sote kaahe ko?


baatain teri theek lagti hain
raatain kiyun hamaari jagti hain
haan laatain hum kiyun na maarain beeti baaton ko
bhoolun main to mujh ko lagaana tum ek chaanta
chubh jaey to kheench lena kaanta
no, no, no, no...
poochun main jo tum se kabhi ke kiyun kiyun daanta
dena phir se aik aur chaanta
kabhi nahi, kabhi nahi

rote kaahe ko hum hain, rote kaahe ko hum?
hona hai jo ho, sad hote kaahe ko hum?
haan raaton ko na sote kaahe ko?

cry cry itna cry karte hain kaahe ko?
itna darte hain kaahe ko?
pal pal marte kaahe ko?
why why aisa why wesa kiyun hota?
yun hota to kya hota?
jo hota hai woh hota
fly fly baby fly, dekhain yaan urr ke
dekhain baadal se jurr ke
dekhain phir na murr murr ke

cry cry... cry cry...